ek kora kagaz.. aur kalam aaj phiir se maine uthayi to..
main likh na payi kuch bhi par.. main likhne ko chali aayi to..
kyun aaj kahin yeh dil mera kuch ghumsum hai .. aur kuch khush bhi..
na kaha unhone kuch bhi par .. koi baat mujhe batlayi to..
aise to din ke har pal mein.. maine unko hi yaad kiya..
waise to bojhal se man mein.. maine bas yeh fariyaad kiya..
k khushi sada jholi mein unki rahe chamakti taaron si..
aur ghum jo hon vo mere hon..yun dil ko apne aabaad kiya..
kayi uljhi raatein hain beeti.. kayi uljhe din bhi guzre hain..
kayi uljhan hain suljhane ko.. kayi sawaal bhi bhoole bisre hain..
aise hi aksar suljhan aur uljhan mein rehti hun main ghum..
kayi raaz khuli kitaab se hain.. aur kayi pe lakhon pehre hain..
kaise dil k angaar pe aksar pyar ki baatein hoti hain..
kaise man ke gubaar pe aksar ikraar e mohabbat hoti hain..
dil dhakk se rukne ko kehta... jhatke se dhadkan ko dhhota..
phir kyun na jaane ekdam raftaar ki baatein hoti hain..
yun rukna aur phir chalna.. aur chal ke phir se yun ruk jana..
main khush hun dekho ek pal mein.. phir ik pal mein hi tham jana..
jane kaise dil ko samjhaun.. man ko rokun.. dhadkan thaamun..
jab dekho raftaar pakarte hain yeh.. phir ekdam se sab ghum jana..