Zindagi yuhi basar huyee jaati hai
ke ab bahaar khatam huyee jaati hai
jaane kab aayenge ye maut ke farishtey
saansey rukti hai or fir se chal jaati hai
ek tamanna hai kisi ko dil mai basane ki
ab to khwahisho ki shaam dhalti nazar aati hai
kuch is tarah se fareb khaaye hai is duniya mai
har bashar ki takleef mai meri takleef nazar aati hai
koshishey to ki bahot is ranj-o-gam ko chupaney ki
akela hu to awaaz khud ba khud nikal aati hai
jaaney kya hoga mere baad in gamo ke gulista ka
jab hoti hai zarurat kisi ki hasti ki inhe meri yaad aati hai
koi do pal ke liye hi haath tera thaam le SAHIL
maut bar haq hai woh zarur aati hai