Mohabbat Jhoot Hai
Ehd-e-Wafa Ik Shughal Hai Beqaar Logon Ka
Talab Sukhe Hue Patton Ka Ronaq Jazeera Hai
Khalish Deemak Zyada Aoraq Par Boseeda Satron Ka Zakheera Hai
Khumar_e_Wasal
Tapti Rait Ke Seene Pa Udte Baadlon Ki Rai-gan Bakshish
Ghubar-e-Hijr Sehra Mein Sarabon Se Aate MAusam ka Khamyaza
Ke Abtak Mai Andheron Ki Dhamak Mein Saans Ki Zarbon pe
Chahat Ki Bina Rakh Kar Safar Karti Rahungi
Mujhe Ehsaas hi Kab Tha
Ki Tum Mausamo Ke Tarah Rang Badalte Rahoge
Wo Saare Khwab Kachi Bhurbhuri Mitti Ke Beqeemat Gharaonde The
Wo Saare Zaike Meri Zuban par Zakhm Bankar Jum Gaye Hai
Tumhari Ungliyon Ki Narm Poorein Pathron Par Naam Likhti Thi Mera Lekin
Tumhari Ungliyan Tou Aadatein Yeh Jurm Karti Thi
Mera Hona Na Hona Ek Barabar Hai
Tum Apne Khaal-o-Khad Ko Aaine Mein Phir Nikharne Do
Tum Apni Aankhon Ki Basti Mein Phirse Naye Mausam Utarne Do
Mere Khwabon Ko MArne Do Nayi Tasveer Dekho
Phir Naya Maktoob Likho
Phir Naye Mausan Naye Lafzon Se Apna Silsila Joro
Mere Mazi Ki Chahat Rai'gan Samjho
Meri Yaadon Se Kache Rabte Toro
Mohabbat Jhoot Hai
Ehd-e-Wafa Ek Shughal Hai Beqaar Logon Ka