Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi? - The Poetry Collections

Hot

Post Top Ad

Your Ad Spot

Tuesday, 23 April 2013

Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi?

Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi,

Ta?aluq toot jaye jab,
Mohabbat rooth jaye jab,
To phir rasm-e-dua kaisi,
…Milan ki ilteja kaisi
 Bhanwar mein dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya,
Ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya,
Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun,
Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai,
Tumhein kyun shairii mein aaj takk aabaad rakha hai,
Abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai,
Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai,
Judaii dene wale aashnaii ki qasam tum ko,
Tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko,
Mujhe itna bata dena,
Wafa ki chahton ki mash?alein kaise bhujate hain,
Nishaan kaise mitaate hain,
Bhulana ho jinhein unn ko bhala kaise bhulatay hain.

Post Top Ad

Your Ad Spot