Daman-E-Gull Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaate Hein. - The Poetry Collections

Hot

Post Top Ad

Your Ad Spot

Tuesday, 29 April 2014

Daman-E-Gull Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaate Hein.





*


Daman-E-Gull Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaate Hein.
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hein.

Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Mein Lekin.
Jal K Parvaane Kaie Baar Bikhar Jaate Hein.

Jin Ko Insaan Pirota Hai Bohat Ulfat Se.
Haaye Wo Gull Sar-E-Bazaar Bikhar Jaate Hein.

Paaon Uthate Hein Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi.
Apni Raahon Mein Kayi Khar Bikhar Jaate Hein.

Raat K Pichle Pehar Khoon-E-Tamanna Ki Tarha.
Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hein.

Ho Ga Andaaz-E-Wafa Un Ka Alag Hi Mohsin.
Jin Ki Rahoon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hein..


.

*

Post Top Ad

Your Ad Spot