Kamal-e-ishq hai divana ho gaya hun main
ye kis ke hath se daman chuda raha hun main
tumhin to ho jise kahti hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki doobta hun main
ye kis ke hath se daman chuda raha hun main
tumhin to ho jise kahti hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki doobta hun main
ye mere ishq ki majaburiyan ma’az-ALLAH
tumhara raz tumhin se chupa raha hun main
is ik hijab pe 100 be-hijabiyan sadqy
jahan se chahta hun tumko dekhta hun main
batane wale waheen par batate hain manzil
hazar bar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zo'am k tu mujh se chup nahi sakta
kabhi ye vaham ki khud bhi chupa hua hun main
mujhe suny na koi masti-e-baad-e-ishrat
‘majaz’ tute huye dil ke ik sada hun main.