Sare Mousam Badal Gaye Shayed... - The Poetry Collections

Hot

Post Top Ad

Your Ad Spot

Thursday, 27 November 2014

Sare Mousam Badal Gaye Shayed...


.

saare mausam badal gaye shayad
aur ham bhi sambhal gaye shayad

jheel ko kar ke maahtab supurd
aks pa kar behal gaye shayad


aik thehrao aa gaya kaisa
zaviye hi badal gaye shayad

apni lao mai tapa ke ham khud ko
mom ban kar pighal gaye shayad

kaanpti lao qaraar pane lagi
jhonke aa kar nikal gaye shayad

ab k barsaat mai bhi dil khush hai
hijr ke khauf tal gaye shayad

SAaf hone lage sabhi manzar
Ashk aankhon se dhal gaye shayad

Wo aleena badal gaya tha bahot
Is Liye ham sambhal gaye shayad
 
.....................
 
.

Post Top Ad

Your Ad Spot