Dastoor yahan bhi andhe hain
By Sagar Siddiqui
Dastoor yahan bhi andhe hain
Farman yahan bhi andhe hain
Aay dost khuda ka naamna le
Emaan yahan bhi andhe hain
Taqdeer ke kaale kumbalmain ,
Azmaat ke fasane lipte hain
Mazmoon yahan bhi behre hain ,
Unwaan yahan bhi andhe hain
Zar-dar tawaqoo rakhta hain ,
Na-daar ki garhi mehnat par
Mazdoor yahan bhi deewane ,
Zeeshan yahan bhi aadhe hain
Kuch loog bharosa karte hain
tassbee ke chalte daano par
Be-chain yahan yazdan ka junoon ,
Insaan yahan bhi aandhe hain
Be-naam jaafa ki rahoon par ,
Kuch khaak si urti dekhi hai
Hairaa haiin diloon ke aaine ,
Nadaan yahan bhi aandhe hain.!!

